Wednesday, May 16, 2012

Kabhi Kabhi - Sahir Ludhianvi

This post is about one of his masterpiece nazm:


Kabhii kabhii mere dil me.n Khayaal aataa hai...


Ke zindagii terii zulfo.n kii narm chhaao.n me.n, 
guzarane paatii to shaadaab ho bhii sakatii thii..
Ye tiirgii jo merii ziist kaa muqaddar hai,
terii nazar kii shuaao.n me.n kho bhii sakatii thii..

Ajab na thaa ke mai.n begaanaa-e-alam ho kar,
tere jamaal kii raanaaiiyo.n me.n kho rahataa..
Teraa gudaaz badan terii niim-baar aankhe.n,
inhii.n hasiin fasaano.n me maaho rahataa..

Pukaaratii.n mujhe jab talKhiyaa.n zamaane kii,

tere labo.n se halaawat ke ghuu.nT pii letaa..
Hayaat chiikhatii phiratii barahanaa-sar,

aur main ghanerii zulfo.n ke saaye me.n chhup ke jii leta..

Magar ye ho na sakaa aur ab ye aalam hai,

ke tuu nahii.n, teraa Gam, terii justajuu bhii nahii.n
guzar rahii hai kuchh is tarah zindahii jaise,

ise kisii ke sahaare kii aarazuu bhii nahii.n..

Zamaane bhar ke dukho.n ko lagaa chukaa huu.n gale,

guzar rahaa huu.n kuchh a.njaanii guzar_gaaho.n se..
Muhiib saaye merii simt ba.Date aate hai.n,

hayaat-o-maut ke pur_haul Khaarazaaro.n se..

Na koii jaadaa na manzil na roshanii kaa suraaG, bhaTak rahii hai Khaalaao.n me.n zindagii merii..
Iinhii.n Khalaao.n me.n rah jaauu.Ngaa kabhii khokar, mai.n jaantaa huun merii ham-nafas magar yuun hii

Kabhii kabhii mere dil me.n Khayaal aataa hai..



Youtube also has an audio recitation by Sahir himself and it is a masterpiece too. This  nazm reflects such a deep pain in the heart of the poet for his lost love. Such a theme is so apt for Urdu poetry and the language lets one flow into such a trance.
Analytically, each line is of 14 syllables, with the pattern 1212-1122-1212-22. This beher in Urdu prosody is called "mujtas musamman makhbuun mahzuuf maqtuu".

No comments:

Post a Comment

Winter, Rain, Evening and Night

 Today, it rained in the evening. These winter rains bring down the alarming pollution levels of this metropolis. I hear that the emergency ...